Wednesday, May 13, 2009

Syaah Roshni

roshan awaam ke tamaam jayaz gille shikveh,
muqaddar par andheri raat ka, ho woh kali syaah yun...

khamosh aankhen bayaan karti sard haqiqat,
ahal-e-mehfil mein rakhta lekin niyat-e-saaf hoon...

shab ki tamanna Illahi ne rakhi taar hai,
kyun tujhe phir Rabb ki iss muraad pe malaal hai...

bepanaah hai arzoo, teri chahat janoon sa,
kamjor khawaish se wafaa ka hua kyun ab aks juda...

dost hoon ya hoon ek sawaal farebi
mahashar ko hisaab karega Khuda...

No comments: