Tuesday, April 17, 2012

Sitaron se aage jahan aur bhi hain... Allama Iqbal...


Sitaron se aage jahan aur bhi hain 
Abhi ishq ke imtehan aur bhi hain 

Tahi zindagi se nahin ye fizayen
Yahan siakdon karwaan aur bhi hain

Khana’at na kar aalam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi aashiyaan aur bhi hain

Agar kho gaya ek nasheman to kya ghum
Maqmat-e-aah-o-fughaan aur bhi hain

Tu shaheen hai parvwaaz hai kaam tera 
Tere saamne aasmaan aur bhi hain 

Isi roz-o-shab main ulajh kar na rah ja 
Ke tere zameen par makaan aur bhi hain 

Gaye din ke tanha tha main anjuman mein 
Yahaan ab mere raazdaan aur bhi hain  

~Allama Iqbal~

________________________________________

Translation:

Beyond the stars there are worlds more
Our quest yet has more tests to pass

This existence alone does not matter
There are boundless journeys more

Do not rest on what you have
There are paradises more to explore

Why worry if you have lost one abode
There are a million addresses to claim

You are the falcon, your passion is flight
And you have skies more to transcend

Lose not yourself in the cycle of days and nights
Within your reach are feats even more

Gone is the day when I was lonesome in the crowd
Today those who resonate my thoughts are more