Tuesday, December 18, 2012

Yeh naa thi humari qismat, ke visaal-e-yaar hota...



The sheer poetic genius of Mirza Ghalb...

The hauntingly beautiful voice of Farida Khanum...
_________________________________________

Yeh naa thi humari qismat, ke visaal-e-yaar hota...
Agar aur jeete rehte, yahi intezaar hota...

Tere vaade par jiye hum, toh yeh jaan jhooth jaana...
Ke khushii se marr na jaate, agar aitbaar hota...

Kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri balaa hai...
Yeh khalish kahaan se hoti, joh jigar ke paar hota...

Hue hum joh marr ke rusavaa, hue kyun na gharq-e-dariyaa...
Na kahin janaazaa uthataa, na kahin mazaar hota...

Kahun kis se main ke kiyaa hai, shab-e-gham buri balaa hai...
Mujhe kya buraa tha marna, agar ek baar hota...

Ye masaail-e-tasavvuf, yeh tera bayaan Ghalib...
Tujhe ham vaalii samajhate, jo na baada-khwaar hota...