Saturday, August 27, 2011
Ya Mohammad, Madine bula lo mujhe... Mere gham ki dawaaa aur koi nahin...
Madine wale Aaqa yeh toh hasrat kamm se kamm nikle...
Tumhara rooh-e-anwar dekh kar aashiq ka dumm nikle...
Ya Mohammad, Madine bula lo mujhe...
Mere gham ki dawaa aur koi nahin...
Kiss ko Aaqa musibat mein aawaaz doon...
Mera tere siwaa aur koi nahin...
Sunno sono mere hajat rawa rasool Allah...
Gham ke maaro ka aasraa tum ho...
Besaharon ka aasraa tum ho...
Kiss ko Aaqa musibat mein aawaaz doon...
Mera tere siwaa aur koi nahin...
Mere sar se na jab tak musibat tali...
Mere Aaqa main dunga duhaai teri...
Meri fariyaad tere siwa joh sune...
Ya nabi Mustafa aur koi nahin...
Tum se kahunga, tum hi sunoge...
Tum hi meri laaj rakhoge...
Gar tum na sunoge toh kaun sunega...
Dukh dard bare naale mere...
Gar tum na sunoge toh kaun sunega...
Ya Mohammad-E-Mustafa fariyaad hai...
Dil ki choti si ek kahani hai...
Aap sun lein toh meharbaani hai...
Sunn lo meri fariyaad sun lo, meri fariyaad sunn lo...
Dil ki fariyaad labb pe aayi hai...
Kamli wale teri duhaai hai...
Tera darr chod kar kidhar jaon...
Ab kahin aasraa nahin milta...
Saari duniya dekh aaya hoon...
Koi bhi aapsa nahin milta...
Meri fariyaad tere siwa joh sune...
Ya nabi Mustafa aur koi nahin...
Teri rehmat ko aisa taras aa gaya...
Maine joh maanga mujh ko wohi mil gaya...
Tujh se badd kar sakhii aur koi nahin...
Mujh se badd kar gadaa aur koi nahin...
Tu karam hi karam, tu ataa hi ataa...
Tu karam hi karam Sultaan-E-Haram...
Karam ki ek nazar ho Ya Mohammad besaharon par...
Badal jaati hai taqdeer tere adna isharoon pe...
Tu karam hi karam Sultan-E-Haram...
Ab toh ma’il ba karam chasm-e-karam ho jaaye...
Duur dil se mere uqba ka alam ho jaaye...
Main bhi hoon aap se ab reham-o-karam ka taalib...
Mujh pe bhi ek nazar shah-e-umam ho jaaye...
Talab ka hoon to kiss qabil hai Aaqa...
Magar tera karam shamil hai Aaqa...
Wah kia jood karam hai shah-e-batha tera...
Nahin sunta hi nahin maangne wala tera...
Sultan-E-Haram tu karam hi karam...
Badd sahi, chor sahi, mujrim-o-naakara hi sahi...
Kuch sahi, kaisa sahi, hoon toh kareema tera...
Meri khataoon ki intihaa nahin lekin...
Tu woh Karim hai jiss ka mujhe sahara hai...
Khushk hone na diya tere karam ne mujh ko...
Ashq-e-hasrat hoon, nadamat ka paseena hoon main...
Sultan-E-Haram tu karam hi karam...
Tu karam hi karam, tu ataa hi ataa...
Main khataa hi khataa, be kaso be nawa...
Tujh ko deta hoon shabbier ka vaasta...
Mujh ko aati dua aur koi nahin...
Bass yeh hi ek nadir ki hai aarzu...
Meri sarkaar rakh lo meri aabru...
Tune bhi gar na mujh ko sahara diya...
Phir mera aasraa aur koi nahin...
Ya Mohammad, Madine bula lo mujhe...
Mere gham ki dawaa aur koi nahin...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment