ek dafaa woh yaad hai tumm ko
binn batti jab cycle ka chalaan hua tha
humne kaise bhookhe pyaase becharon si acting ki thi
hawaldaar ne ulta ek atthanni de ke bhej diya tha
ek chawanni meri thi
woh bhijwa do...
saawan ke kuch bheege-bheege dinn rakhe hai
aur mere ek khatt mein lipatti raat padi hai
woh raat bujha do
aur bhi kuch samaan tuhare paas pada hai
woh bhijwa do...
pattjhad hai
pattjhad mein kuch patton ke girne ki aahat
kaano mein ek baar pehan ke laut aayi thi
pattjhad ki woh shakh abhi tak kaanp rahi hai
woh bhijwa do...
ek sau solah chaand ki raatein
ek tumhare kaandhe ka til
geeli mehndi ki khushbu
jhooth mooth ke vaade...
mera kuch samaan tumhare paas pada hai
saawan ke kuch bheege-bheege dinn rakhe hai
aur mere ek khat mein lipatti raat padi hai
woh raat bujha do
mera woh samaan lauta do...
pattjhad hai kuch, hai na
pattjhad mein kuch patto ke girne ki aahat
kaano mein ek baar pehan ke laut aayi thi
pattjhad ki woh shakh abhi tak kaanp rahi hai
woh shakh gira do
mera woh samaan lauta do...
ek akeli chhatri mein jab
aadhe-aadhe bheeg rahe the
aadhe sukhe aadhe gile
sookha toh main le aayi thi
geela mann shayad bistar ke pass pada ho
woh bhijwa do
mera woh samaan lauta do...
ek sau solah chand ki raatein
ek tumhare kandhe ka til
geeli mehandi ki kushboo
jhooth mooth ke shikwe kuch
jhooth mooth ke vaade bhi sab yaad kara dun
sab bhijwa do
mera woh samaan lauta do
ek ijaazat de do bass
jab iss ko dafnaungi
main bhi wahin so jaungi...
Ijaazat... 'n the eternal magic of Gulzar saab, Pancham Da 'n Asha ji... love it to the core...
No comments:
Post a Comment