alag raaston ne ki ab manzil tanha...
par tujh sa humsafar na dekha, na suna...
jo na dekha, no suna, par mehsoos kiya...
khuli aankhon se dekha ek haseen khawab jo maine piya...
labon ka faasla dilon ne na jaane kab mita diya...
teri judai mein tadpa, tujhe chu ke jiya...
tujhe paane ki bepanaah chahat, phir bhi reh gayi tang...
mere andhere se door, aur kisi mehfil mein thi shamma ki jung...
ho tera iqbal buland, gustakh ki yehi aakhri aarzoo...
rahoon ya na rahoon, tujh mein shamil rahegi meri rooh...
yeh zameen, yeh aasman, tere kadmon mein aake fanaa ho...
jannat, tujhe jannat mein dekho, dojakh mein mujhe nazaraa bayaan ho...
mera aks, jo aankhen band karte ho jayega juda...
rehnuma door jaye, par rehta phir bhi hai khuda...
rabb mere, rabb teri khair kare... khuda haafiz...
No comments:
Post a Comment